Home / Hindi Lyrics / Samjho Na
Hindi Lyrics
Samjho Na Lyrics in Hinglish
Jubin Nautiyal & Suvarna Tiwari · THE VVAAN · 2026
| Gaana | Samjho Na |
| Singer | Jubin Nautiyal & Suvarna Tiwari |
| Lyricist | Manoj Muntashir |
| Music | Tanishk Bagchi |
| Film / Album | THE VVAAN |
| Year | 2026 |
| Label | Zee Music Company |
Gaane ka Matlab
Aashiq kehta hai — main shayar nahi, par tumhe dekh ke ghazlein likhne laga; meri aankhein padho, bina bole samjho na. Tum dariya ho to main kinara, tumse milke har dafa jaadoo sa hua, aur tumhe paa ke duniya mil gayi.
Samjho Na Lyrics — Hinglish
Lyrics source: Zee Music official YouTube description, Lyrixwala. Credits: singer Jubin Nautiyal & Suvarna Tiwari · Label: Zee Music Company.
MukhdaWaise Toh Zamane Bhar Ki
Waise Toh Zamane Bhar Ki
Daulat Main Thukra Doon
Baazare Mohabbat Mein Be-qeemqt Hi Bikta Hoon
Shayar Toh Nahin Main Lekin Jab Se Tumko Dekha
Jab Se Tumko Dekha Ghazlein Main Bhi Kuch Likhta Hoon
Tum Bhi Kabhi, Meri Aankhein Padho
Kuch Bole Bina Bhi Jaan Lo
Toh Samjho Na
Mere Dil Ki Iltaja
Tumhein Mil Ke Har Dafaa
Koi Jaadoo Sa Hua
Toh Samjho Na
Meri Pagal Khwahsihein
Maine Aksar Khwaab Mein
Tumhein Aankhon Se Chhuaa
Toh Samjho Na, Samjho Na, Toh Samjho Na.., Sunlo Na, Margayiyan
Tere Pyaar Main Margayiyaan
Main Ta Yaar Pe Margayiyaan
Tujhko Paake Sawargayi
Deewani Hogayiyaan
Tere Pyaar Main Margayiyaan
Main Ta Yaar Pe Margayiyaan
Tujhko Paake Sawargayi
Deewani Hogayiyaan
Toh Samjho Na
Sunlona..
AntaraDariya Main Tu Kinara
Aawara Hoon, Tere Bina
Tere Bin, Mar Hi Na Jaaun
Mujhse Nazrein Na Tu Pherna
Hairaan Hoon Main,
Ye Kya Ho Gaya
Main Yun Sarphira Toh Na Thaa
Toh Samjho Na
Mere Dil Ki Iltaja
Tumhein Mil Ke Har Dafaa
Koi Jaadoo Sa Hua
Toh Samjho Na
Meri Pagal Khwahishein
Maine Aksar Khwaab Mein
Tumhein Aankhon Se Chhuaa
Toh Samjho Na, Samjho Na, Toh Samjho Na, Sunlo Na, Margayiyan
Tere Pyaar Mein Margayiyaan
Main Ta Yaar Pe Margayiyaan
Tujhko Paake Sawar Gayi
Deewani Hogayiyaan
Tere Ishq Me Kamli Ho Ke Main
Teri Yaad Me Dariya Ro Ke Main
Tere Haq Me Duayein Kar Gayi
Tere Noor Se Main Toh Bhar Gayi
Tujhse Jo Mohabbat Ho Gayi
Tu Rah Gaya Main Toh Kho Gayi
Tujhe Pa Ake Duniya Mil Gayi Ab Mujhe!
Toh Samjho Na, Samjho Na
Toh Samjho Na, Sunn Lo Na
Slowed + Reverb Version
Samjho Na film THE VVAAN (Sidharth Malhotra & Tamannaah Bhatia) ka gaana hai — September 2026 me release hua aur slowed + reverb versions me bhi trend kar raha hai.