Home / Hindi Lyrics / Maand
Hindi Lyrics
Maand Lyrics in Hinglish
Bayaan × Hasan Raheem · Safar · 2024
| Gaana | Maand |
| Singer | Bayaan × Hasan Raheem |
| Lyricist | Asfar Hussain, Hasan Raheem |
| Music | Rovalio |
| Film / Album | Safar |
| Year | 2024 |
| Label | Bayaan |
Gaane ka Matlab
'Maand' ka matlab hai feeka pad jaana, murjha jaana. Gaana kehta hai — tum mile hi kabhi nahi, phir bhi hasrat kyun badh gayi; tumhare bina jeena bekaar lagta hai. Tere bina main aisa chehra hoon jiski khoobsurti maand pad gayi ho, aur aisa dariya jo behna hi na chahe.
Maand Lyrics — Hinglish
Lyrics source: LyricsRead, Shazam. Credits: singer Bayaan × Hasan Raheem · Label: Bayaan.
MukhdaMile to tum kabhi nahi
Meri hasrat kyun bhadkai bewajah
Ke tum bina jiye agar
Hua kaise naa yeh jeena raigan?
Antara 1Dariya mere dil ka yeh behta na
Dukhi dil ki sada kuch yeh kehta na
Iski khamoshi ki tu wajah hai na
Dil se tang aaya yehhi saza hai na
Antara 2Ulfaton mein nahi koi paimana
Mere apnon ka mujh se yeh kehna tha
Surmai teri aankhon mein beh jaana
Kya pata tere gham mein hi rehna tha
ChorusKyun yun sehte sehte
Dil ko gham khaa chuka meri jaan
Kyun yun rehte rehte
Dikhayi na koi disha
Kyun yun sehte sehte
Dil ko gham khaa chuka meri jaan
Kyun yun rehte rehte
Dikhayi na koi disha
Antara 3Jo tu nahi toh aisa main chehra
Ke jiski khoobsurti maand padti ho
Aisa main dariya jo behna na chahe
Jo tu nahi toh aisa main chehra
Ke jiski khoobsurti maand padti ho
Aisa main dariya jo behna na chahe
Antara 4Dariya mere dil ka yeh behta na
Dukhi dil ki sada kuch yeh kehta na
Iski khamoshi ki tu wajah hai na
Dil se tang aaya yehhi saza hai na
Ulfaton mein nahi koi paimana
Mere apnon ka mujh se yeh kehna tha
Surmai teri aankhon mein beh jaana
Kya pata tere gham mein hi rehna tha
Aisa main dariya jo behna na chahe
Slowed + Reverb Version
Maand 2024 ka gaana hai jo 2025–26 me Reels aur slowed + reverb versions ki wajah se bada trend bana raha.